Aaj Ke Wakt Me Internet Har Koi Use Karta Hai, Internet Ke Bina Hamara Jiwan Adhura Sa Lagta Hai, Kyouki Hum Jo Hai Internet Par Itna Jyada Nirbhar Ho Gaye Hai, Ke Bina Internet Ke Hum Reh He Nahi Sakte, Aur Aaj Bachou Se Lekar Budhe Thak Har Koi Internet Ka Istemal Karna Ache Se Janta Hai. Lekin Bahut Se Loug Aise Hai Jinko VPN Ke Bare Me Jyada Koi Jankari Nahi Hai, Apne Aksar Internet Par VPN Ke Bare Mai Suna He Hoga, Lekin Jyadatar Loug Iske Bare Mai Nahi Jante Hai, Isliye Aaj Ki Is Post Me Hum VPN Kiya Hai.? VPN Kaise Kaam Karta Hai, Iske Bare Me Bistarit Roop Se Baat Karenge.


 Aaj Hum Internet Par Online Bhete Bhete Lagh Bhag Apne Sare Kamou Ko Badhi Asani Se Kar Sakte Hai, Fir Chahe Wo Electricity Ka Bill Bharna Ho Ya Fir Bus, Train, Flight, Movie Tickets Ko Book Karna Ho, Ya Phir Apne Bank Se Paise Transfer Karna Ho, Yeh Sare Kaam Internet Par Online Ghar Bhete Kar Sakte Hai 

Lekin Internet Ki Istemal Karte Wakt Humain Kuch Sabdhaniya Bharatne Ki Jaroorat Hoti Hai, Warna Hamare Sare Personal Data / Personal Information Hackers Ke Hathou Me Jaa Sakta Hai. Jo Ki Humare Liye Kaafi Jyada Nuksaan Dayak Hoga. In Sab Se Bachne Ke Liye Hum VPN Ka Istemal Karte Hai, Taki Hum Musibat O Pareshaniou Se Bach Sake.

Ye Bhi Padhe: 

  1. WhatsApp Mein Fingerprint Kaise Lagaye
  2. Top 10 YouTubers in America

VPN Kya Hai ?

VPN (Virtual Private Network) Yeh Ek Alag Tarah Ka Private Network Hota Hai, Jaisa Ki Apko Iske Naam Se Puri Tarah Pata Chal Raha Hai, Ye Kaafi Asan Tarike Se Kaam Karta Hai, Iske Jariye Aap Apne App Ko Bahut Asani Ke Saath Chupa Ke Rakh Sakte Ho, VPN Ke Jariye Apne Gupt Data Ko Bhi Asani Ke Saath Ek Jagah Se Dusre Jagah Transfer Kar Sakte Ho. Aur Hackers Ko Iske Bare Me Bilkul Bhi Maloom Nahi Hoga, Iska Istemal Badhi Se Badhi Companiya Bhi Karte Hai Apne Data Ko Safe And Secure Rakhne Ke Liye, Taki Unki Data Kahi Koi Galat Insaan Ke Hathou Me Na Padh Jaye.

VPN Ke Jariye Aap Aur Bhi Bahut Sare Kaam Kar Sakte Hai, Agar Aap Kisi School Ya Collage Me Padhte Hai, Aur Woha Par Kisi Website Ko Block Karke Rakha Huwa Hai, Tho Aap Us Website Ko VPN Ke Jariye Bahut He Asani Ke Saath Access Kar Sakte Ho. VPN Bahut Sare Tarike Ka Hota Hai, Ye Aaap Apke Computer Ya Smart Phone Me Bhi Asani Se Download Kar Sakte Ho, Jo Ki Bahut Sari Companiou Ke Application Websites Ya Google Playstore Me Up Labd Hai.

Friends Agar Aaap VPN Ka Istemal Karke Koi Bhi Website Open Karte Hai Tho Woha Par Aapki IP Adress Nahi Jakar VPN Me Dhala Huwa Onno Bahut Sari Jagahou Ke IP Address Dikhega. Isse Agar Apko Kisi Website Ne Block Kiya Hai Tho Bhi Aap Us Website Ko Access Kar Payenge 

Conclusion

Dostou Humne Is Post Me Jana Ki VPN Kiya Hai.? Ek (Virtual Private Network ) Kaise Kaam Karta Hai, Ab Agli Baar Aap Jab Bhi Internet Ka Istemal Kare Tho VPN Ko Yaad Rakhe, Ke Aap Kis Tarah Se VPN Ki Madad Apne Ip Address Ko Chipa Sakte Hai, Humne Tho Is Post Me Apko Ache Se Samjane Ki Koshish Kiya Phirbhi Agar Apke Mon Me VPN Ko Lekar Koi Sawal Ho Tho Aap Bhe Jijak Humain Comment Karke Puch Sakte Ho.




Post a Comment